Thursday, January 21, 2010

Koi Chhaon^ ho jise chhaon kahne mein^
Dopaher ka ghumaan^ na ho...
Koi shaam ho jise shaam kahne mein shaab ka koi nishaan^ na ho...
Koi wasl ho,
Jise wasl kahne mein hijr ka dhuwaan^ na ho...
Koi lafz ho jise likhne padhne ki chaah mein,
Kabhi ek lamha giraan^ na ho...
Yeh kahan hua hai ke hum tumhein,
Kabhi apne dil se pukaarne ki saai karein,
Wahin aarzoo be-amaan na ho...
Wahin mausam gham-e-jaan^ na ho...



Maeanigs:
Chhaon= Saya
Shaab = Raat
wasl = Milan
Hijr = Judaai
Lafz = word, shabd
giraan^ = nagawar, khushi na dene wala
Saai = Koshish
( Even if you don't understand feel free to ask the meaning...)