Thursday, December 30, 2010

Saal-e Naw


Or palak jhapakte hi zindaghi ka ek saal tamaam hua...
Kuch khushiyaan , kuch gham , jo hyaat-e-insaani ka hissa hain... waqt ki saanson ke asaas hain... hamesha ki tarah daaman mein aagire...
kabhi kisi gham ne paheron aankhon ko rulaya to kabhi kisi khusi ne dil ko malamaal kar diya...

or main zindaghi ke is mod per khade sochti hi rahi ke main ne kya kuch kho diya or kya kuch paa liya... Hisaab kitaab karne per pata chala ke paya bht kaam hai ... or khoya zyada hai ... gham na ho to zindghi ka ehsaas kahan ?

lekin ... mujhe is baat ka pura ehsaas hai ke mujhe apne mann ke musbit khayaalon ko madd-e nazar rakhte hue naye saal ka istequbaal karna chahiye ... Allah SWT se duaa hai ke naya saal is duniyaan mein basne waale her insaan ki khoi hui khushiyaan vapaas kar de... Ameen!



Tamaam = Khatam hona, end
Hyaat = Zindaghi
Hissa = part
asaas = bunyaad , radical, jad , root
daaman = aanchal
musbit = positive
Istequbaal = Welcome