Wednesday, August 28, 2013

Thursday, October 25, 2012

Eid-ul.Adha : Dyar-e-ghair mien


Kal Eid hai... or aaj raat mein 12 baje main computer per baithe apne beete dinon ka hisaab kitaab kar rahi hun... mujhe apne chhote se shaher Malegaon se is "bade se" shaher Zurich aaye hue abhi ek saal ka arsa bhi nahi guzra hai ... or yun lagta hai jaise saalon beet gaye hon^.

Right now I am missing everything... I guess., chaand raat ko sawayyan or sheer khurme ki tayariyan ... mewe...chahel pahel, janwaron ka shorghul, naye kapde, naye chappal, chaand raat ki raat tak naye kapde silna, matching chudiyaan, mehndi or khushbooyien... Khushiyan baant-te hue apne log, maan baap, bahen bhai... kahan se laawon unhein... kaash main sab logon ke saath hoti...

Khair,  

Aap tamam hi logon ko Eid-ul.adha ki pur khuloos Mubarak baad.

Raat kaafi beet chuki hai ... ab mujhe apni yaadon ka petara band karna chahiye....

Allah Hafiz.


Saturday, May 5, 2012

Art !

Paak hai woh rab, jo bardasht se badh kar nahi azmata lekin auqaat se badh kar nawazta hai ...

(Calligraphy with brush, water colour, wooden pen and ink.)

Wednesday, March 14, 2012

So This is a visual ART!

In the name of Allah, The most Gracious, the most Merciful ...


Calligraphy by Saima.



Thursday, November 17, 2011

Meherbaan-w- Mushfaq Maa^n Baap

Aur is waqt ahed-e-maazi ki yaadon ke thapede phir se mujhe baha le gaye, aur hostel ke room mein tanha baithe hue main kahin bahut door Maa^n ki aanchal ke chhaon tale aur baap ki pyar bhari nazron ke aas paas phir se bhatakne lagi, ke aaj un ke wajood se hi mera wajood hai.
Bhari chilchilaati dhoop mein maa^n ki mamtaa pukarti raheti thi, aur sunehra bachpan gaao^n ki ghaliyon mein khela karta tha...
Din bhar kaam se thake haare baap ki shafqat- raat ke dilchasp aur kaaraamad mubaahesoo^n mein badal jaya karti thi... Or mujhe aaj bhi yaad hai un ke mu^nh se pyar bhara mera naam "Saimof " sun kar dil machal jata tha... ( He always tries to address me with my name more like Russian name, i don't know why?)
Or School mein hamari kamyaabiyon ki khabar sunte hi najane kitne jugnu un ki aankho^n mein jagmaga jaate the... Or yeh ehsaas hi dil ki khumari ke liye kaafi tha ke hum apne waldain ka maan hain, samman hain or un ka ghroor hain ... or yahi ehsaas hi un ki daant phatkaar ko apne andar aasaani se jazab kar leta tha ...
Aaj woh Sunehra pachpan, mubahse, dilchaspiyaan, ranginiyan, tamashe aur mastiyaan najane kahan kho gaye? Bachpan ke gulistaan ke masoom phoolon se saari rangeen titliyan ud gayi ... Sufaiyed pariyoon waali kahaniyon ki kitaabein kho gayi...
Sach hai, koi beti jab apne maa^n baap ke ghar ki dahleez paar karti hai to kabhi na waapas aane ke liye... kaash! main apne maa^n baap ke saath hamesha rah sakti or bachpan ka bachkaana dimagh aaj bhi mere andar kahin panap raha hota ... kaash ... kaash ...


Sunday, August 28, 2011

Paigham- e- Eid

Rhe kaduraat na koi dil mein,
Na dil mein nafrat ka naqsh ubhre,
Koi bhi jazba, ke jis se rishton ki tazghi ko...
Khizaan ki zardi Udaas karde...
Haseen chehron ki raunaqein maand na pad jaein...
Khyaal rakhna,
Koi bhi shikwa kisi bhi lab per na aane paye...
Ke aaj ka din mohabbaton ke milaap ka ek haseen din hai,
Yeh EID ka din,
Naveed jis ki ghali ghali hai...
jo rishte ruthe hue hain, unko ...
ghale lagalo...
unhein manalo...
yehi to paigham-e-Eid ka hai...
yehi khushi eid ki khushi hai...
ke sab ke honton pe
muskurahat ke phool bikhrein...
Khuloos ke rang aur nikhrein ...
yehi to paighaam-e- EID ka hai...


***EID MUBARAK***