Aur is waqt ahed-e-maazi ki yaadon ke thapede phir se mujhe baha le gaye, aur hostel ke room mein tanha baithe hue main kahin bahut door Maa^n ki aanchal ke chhaon tale aur baap ki pyar bhari nazron ke aas paas phir se bhatakne lagi, ke aaj un ke wajood se hi mera wajood hai.
Bhari chilchilaati dhoop mein maa^n ki mamtaa pukarti raheti thi, aur sunehra bachpan gaao^n ki ghaliyon mein khela karta tha...
Din bhar kaam se thake haare baap ki shafqat- raat ke dilchasp aur kaaraamad mubaahesoo^n mein badal jaya karti thi... Or mujhe aaj bhi yaad hai un ke mu^nh se pyar bhara mera naam "Saimof " sun kar dil machal jata tha... ( He always tries to address me with my name more like Russian name, i don't know why?)
Or School mein hamari kamyaabiyon ki khabar sunte hi najane kitne jugnu un ki aankho^n mein jagmaga jaate the... Or yeh ehsaas hi dil ki khumari ke liye kaafi tha ke hum apne waldain ka maan hain, samman hain or un ka ghroor hain ... or yahi ehsaas hi un ki daant phatkaar ko apne andar aasaani se jazab kar leta tha ...
Aaj woh Sunehra pachpan, mubahse, dilchaspiyaan, ranginiyan, tamashe aur mastiyaan najane kahan kho gaye? Bachpan ke gulistaan ke masoom phoolon se saari rangeen titliyan ud gayi ... Sufaiyed pariyoon waali kahaniyon ki kitaabein kho gayi...
Sach hai, koi beti jab apne maa^n baap ke ghar ki dahleez paar karti hai to kabhi na waapas aane ke liye... kaash! main apne maa^n baap ke saath hamesha rah sakti or bachpan ka bachkaana dimagh aaj bhi mere andar kahin panap raha hota ... kaash ... kaash ...
No comments:
Post a Comment