Friday, May 29, 2009

Udaasi ka agarche apna koi gher nahi hota...
maga jab nighahon mein,
ghuzarghahon ka sunapan khatakta hai...
kisi ki aks mein dubi hui aankhein,
kabhi jo baarishon ka saath deti thi...
safar ki shab...
akelepan ka gahera rang...
jab veeran dahleezon ki pheeki zardiyon per phail jata hai...
musaafir ko magar phir koi rasta nahi deta...
udaasi taher jati hai...
gaye mausam ,
palat kar yaad ke dhundle dareechon per...
adhori dastakon ka shak bitha jate hain...
sardi saans ke tan mann mein bas jati hai.
seene mein koi lamha utar ker toot jata hai.
kabhi muddat ke pardesi,
agar apne na aane ka koi paighaam bhejein,
or makaanon per likhi ummid , beenai ganwa baithe..
chaton per baanjhpan ka dukh utar jaye,
udaasi taher jati hai...
koi bichde hue ka dukh utar jaye...
udaasi taher jati hai...
kabhi bichde hue ka dukh,
khat ki muntazir khwahish ko koi rogh lagh jaye,
kabhi jab dil ke taar se likha gaya koi khat,
kahin raste mein kho jaye...
jahan mauqua nikal aaye,
jahan mauqua nikal aaye,
jahan soorat bane gham ki,
jahan be-rauniqui ka koi bhi paheloo nikalta ho...
wahin kheema lagati hai...
Udaasi taher jati hai...
Udaasi taher jati hai...

Wednesday, May 20, 2009

Jo saari kashtiyaan jala kar niklein to un ke saath yeh sulook to hota hi hai...

Kya haath aaya is umr ki sayyahi ke baad...

ek ilzaam!!! mahez ek shak !!!

Mohabbat to kal bhi fateh thi , or aaj bhi faateh hi rahi...

to phir hara kaun???

or phir...

taqdeer ne dusra waar kiya...

khilte phoolon ki aahaton ko sama-aton mein proote hue us ne kaha tha...

"Hum wahan milein ge jahan koi na ho or jahan sooraj apne aakhri kadam dharta ho.."

Mohabbat phir imtehaan mein thi...

Mujhe apni mohabbat ko bachana tha, or main mohabbaton ko haarte hue bhi nahi dekh sakti thi ke woh to tumhare gird duaaon ka hisaar bandhti thi..

Main ne apni aankhon per shaam ki laali baandh li...

Main shaam ka kinara nahi , tum sooraj ki laali nahi ..

Hum in donon ke beech hadd-e-faazil hain...

Es faseel-e-qayenaat ko uboor to kar leti... Lekin.......

us ke peeche sooraj tuloo na hota to???

ek khauf sa mann mein dolta tha ke etebaar ki dori hathon se phisal rahi thi...

yeh khauf meri aakhri hadd tha... ke... is ke baad margh sifat sannata is qayenaat ki ghod mein sisakta hai...

Us ke anaabi labon ki ghani muskuraahat mein tanz ka teer kyon utra tha???

Ae ibn-e-aadam !!! Hawwa ki beti ka dukh jaan sako to kyonkar???

Woh mohabbaton se ghundi ek moorat hai or tum use mohabbat karna sikhao ge?

Yehi wohh muqaam hai jahan tanz uske honton se utar kar mere labon per jam jata hai...

" Mohabbat...."

Aazal se us ke dil ka intesaab hai...

or tum us ke maani poochte ho?

Tum ne mohabbat ko wajood mein dekha hai ...

Main ne use rooh ki balishtiyon mein napa hai...

or tum kahete ho ke main wahan milon jahan sooraj ke aakhri qadam.......???

Aakhri qadam ke baad jante ho kya hai...???

Shaam ka kinara...

raat ki taariki...

Mohabbat ka mafhoom tum kya jano?

yeh tuloo hai ghroob nahi...

Haan !!! yeh mazbooti hai ...kamzoori nahi...

magar mujhe kisi ek nahi un saari mohabbaton ki mazbooti darkaar hai jo tumhaare ghird duaaon ka hisaar bandhti hai................ 

( Dear readers!!! If you find any difficulty in understaing this paragraph,feel free to ask me the meaning of any word)

Monday, May 11, 2009

HAMD

( Hamd us poem ko kahte hai jis mein khuda ki tareef likhi jati hai )

Teri yaad mein sroor hai, Tera ishq mera ghroor hai.

Tu qareeb hai rage jaan se bhi, tu hadde nazar se bhi door hai.

Mujhe raaston ki khabar nahi, mujhe koi khauf-o-khatar nahi.

Mujhe terghi se ghila nahi, meri aankh mein tera noor hai.

Tujhe umr bher main padha karon, tujhe umr bher main suna karon.

tera harf harf hai raushni, teri baat jalwa-e-toor hai.

Tu yahan bhi hai tu wahan bhi hai, tu kahan nahi tu kidhar nahi.

Yeh jo rag-o-noor hai chaharsoo tere husn ka hi zahoor hai.

Tu samandaron ki tahon mein hai, tu sadaf mein hai tu gohar mein hai.

teri zaat kya main bayan karoon teri zaat kitni tahoor hai.

Hai Ziya ke dil ki yehi duaa, mujhe bakhsh de ae mere Khuda.

Tu Raheem hai tu kareem hai, tu azeem hai tu ghafoor hai.

                                                                                ( By : Altaf Ziya)

Sroor = Nasha

terghi= andhera 

Noor= Raushni

harf= shabd, word 

chaharsoo= charon taraf 

zahoor= izhar

Tahoor= pakeeza, pavitr

Raheem= rajem karne wala

Kareem= karam karne wala

Azeem= bht bada

ghafoor= maaf kar dene wala.

Tuesday, May 5, 2009


Woh Thakan se choo'r ho rahi thi,ander berpa tufaan ki tundi usi tarah qayam thi.

Us ka dil chaha ki aas paas nazar dale or tahere hue paani mein doob jaye, thoda haath paaon maare or phir...

Us ke beqarar dil ko qaraar aajaye ke us ko sirf isi ki talash thi...

Andheeri ratoon ka sukoon nahi,

balke 

halki dhoop se milne wali shaanti, or khushgwaar khayalat ka amn.

Is ek lamhe mein zindagi se mohabbat dobaara laot aayi...

khoi hui khushiyon ki khwahish phir se machal gayi ,

us ne apne ird gird khamoosh fitrat ke beparwaah husn per nazar dali...

Sooraj ke neeche bahete dariya ko dhyan mein laya. laherien leti ghaas ka khyal kiya ...

khil khil kar khaak mein milte phoolon per nazar ki ...her cheez zindagi ke diye gaye thapedon per hi chal rahi thi...

ke achaanak us per saare raaz ayaan ho gaye ...

or phir us ne itmenaan se aane wali zindagi ke baare mein socha...

Us waqt use kisi dhoop chaaon ka khyal nahi aaya...

Bas ek dhundli rooshni thi jo andhere mein dhal rahi thi...

or usne kisi qadr pursukoon ho kar aane wale saalon ke baare mein sochna shroo kar diya......