Wednesday, May 20, 2009

Jo saari kashtiyaan jala kar niklein to un ke saath yeh sulook to hota hi hai...

Kya haath aaya is umr ki sayyahi ke baad...

ek ilzaam!!! mahez ek shak !!!

Mohabbat to kal bhi fateh thi , or aaj bhi faateh hi rahi...

to phir hara kaun???

or phir...

taqdeer ne dusra waar kiya...

khilte phoolon ki aahaton ko sama-aton mein proote hue us ne kaha tha...

"Hum wahan milein ge jahan koi na ho or jahan sooraj apne aakhri kadam dharta ho.."

Mohabbat phir imtehaan mein thi...

Mujhe apni mohabbat ko bachana tha, or main mohabbaton ko haarte hue bhi nahi dekh sakti thi ke woh to tumhare gird duaaon ka hisaar bandhti thi..

Main ne apni aankhon per shaam ki laali baandh li...

Main shaam ka kinara nahi , tum sooraj ki laali nahi ..

Hum in donon ke beech hadd-e-faazil hain...

Es faseel-e-qayenaat ko uboor to kar leti... Lekin.......

us ke peeche sooraj tuloo na hota to???

ek khauf sa mann mein dolta tha ke etebaar ki dori hathon se phisal rahi thi...

yeh khauf meri aakhri hadd tha... ke... is ke baad margh sifat sannata is qayenaat ki ghod mein sisakta hai...

Us ke anaabi labon ki ghani muskuraahat mein tanz ka teer kyon utra tha???

Ae ibn-e-aadam !!! Hawwa ki beti ka dukh jaan sako to kyonkar???

Woh mohabbaton se ghundi ek moorat hai or tum use mohabbat karna sikhao ge?

Yehi wohh muqaam hai jahan tanz uske honton se utar kar mere labon per jam jata hai...

" Mohabbat...."

Aazal se us ke dil ka intesaab hai...

or tum us ke maani poochte ho?

Tum ne mohabbat ko wajood mein dekha hai ...

Main ne use rooh ki balishtiyon mein napa hai...

or tum kahete ho ke main wahan milon jahan sooraj ke aakhri qadam.......???

Aakhri qadam ke baad jante ho kya hai...???

Shaam ka kinara...

raat ki taariki...

Mohabbat ka mafhoom tum kya jano?

yeh tuloo hai ghroob nahi...

Haan !!! yeh mazbooti hai ...kamzoori nahi...

magar mujhe kisi ek nahi un saari mohabbaton ki mazbooti darkaar hai jo tumhaare ghird duaaon ka hisaar bandhti hai................ 

( Dear readers!!! If you find any difficulty in understaing this paragraph,feel free to ask me the meaning of any word)

2 comments:

  1. nice... par yaar, rhyme nahi kar raha hai... lol
    keep it up

    ReplyDelete
  2. Oye Deepali yeh koi poem nahi hai yeh to bas ek para hai...
    jo mann mein aaya woh likha...
    waise bhi mujhe rhym mein likhna nahi aata...

    ReplyDelete