Thursday, December 24, 2009

Aakhir kab tak???

A beutiful ghazal by Farhat Abbas Shaah...

Aakhir kab tak???

Shaam dhali hai,
yaad ke gair aabad nazar se door...
Hazzaron ghuzre lamhe,
soch rahein hain,
aati jaati dhoop ke darr se...
shaam ke baad ke saare manzar,
Saare roop ganwa ke jaane wala buzdil...
Mausam ke be ma-ani khauf ke haathon kab tak,
Be bas or majboor rahe ga???
Khadshon mein mahsoor rahe ga???
Aakhir kab tak
Door rahe ga???


Tuesday, December 1, 2009

Ek baar kaho tum mere ho...

Hum ghoom chuke basti, ban mein,
ek aas ki phaans liye mann mein,
Koi Sajan ho, koi pyara ho,
Koi deepak ho, koi tara ho,
jab jeevan raat andheri ho,
ek baar kaho... tum mere ho...

Hum kab tak preet ke dhoke mein,
tum kab tak dar-w-jharonkon mein,
Dil ka daaman phaila ho,
Kyon gori ka dil maila ho,
kab mere dil mein sawera ho?
ek baar...kaho...
tum... tum... tum...
ek baar kaho tum mere ho...



Ban = jungle
phaans = chubhan ka ehsaas
dar = door, darwaza
jharonka = yahan meaning hai window, khidki
daaman = aanchal
sawera = Subah, morning