Wednesday, March 3, 2010

Bachpan


Sochti hun bachpan ke woh din kitne achche the...
jahan saare jazbe sachche hua karte the...
jahan raj-w-gham ka koi naam-o-nishaan tak na tha...
Zimmedariyon ka koi bojh na tha...Her pal jahan haseen tha, jahan rishton ke koi bandhan na the. Fikr ka koi jaal na tha...
Bhari dhoop mein Maan cheekhti rahti thi, or bachpan ped ki shaakhon pe jhula karta tha.
Woh Sunehre din kaun hum se cheen le gaya???
Saahil per mitti ke gharaunde banane ke din kahan chale gaye?

If i look far beyond in the past then many many memories flash back in my mind...

Bachpan!!!
Dhool mitti se sanwarta hua bachpan; Khilonon ki dukaanon ko hasrat se takta hua bachpan; patang ki door mein uljha hua bachpan; Namaz padhta hua bachpan; Nannhe munnhe haathon se duaaein mangta hua bachpan; Madrason mein sipaare padhta hua bachpan; Roze rakhne ki zidd karta hua bachpan; bhai bahen ke saath shararat or masti karta hua bachpan; Ummeedon ke diye jalata hua bachpan; Gaaon ke riots se darta hua bachpan; Kamiyaabiyon per ithlata hua bachpan; doston se jhagdta manata hua bachpan...
Machis ki khali dibiyon se bani rel gaadi ki patriyan kaun chura le gaya?
Kaash!!! Mujh se koi meri shadab jawani ke badle bachpan ke woh maasoom din vapas la de...
Jab saari duniyan shaab ke taariki mein thak ker so jati thi; tab bachpan diya jala ke kahani ki kitaabon mein doob jata tha...or phir subah se leke shaam tak kisi dewaanon ki tarah schoolmein waqt bitata tha...
Badi hi anmol din the...
Is tarah kitaabon, patangon or kahaniyon mein ulajhta hua bachpan kab ghuzar gaya? Ihsaas hi na hua...

I wish, I wish to be there in my childhood forever and ever...but...
You won't believe, while writing all these i couldn't control tears rolling down my face...but...So is the life...

Peace.

6 comments:

  1. aaaaawwwwwww!!! very nostalgic...
    i miss my childhood days. they were the best. Not dat now life is any less fun. But true, no responsibilities is always comforting. :-)

    ReplyDelete
  2. dhool mitti aur khilonon waala bachpan... yaadon ke itne haseen chilman se dikhane ke liye shukriya...

    ReplyDelete
  3. ...magar mujh ko lotado bachpan ka sawan...wo kagaz ki kashti wo barish ka pani..........yeh daulat bhi lelo yeh shohrat bhi lelo........

    Excellent way to put up those glorious memories into words....

    ReplyDelete