Thursday, November 17, 2011

Meherbaan-w- Mushfaq Maa^n Baap

Aur is waqt ahed-e-maazi ki yaadon ke thapede phir se mujhe baha le gaye, aur hostel ke room mein tanha baithe hue main kahin bahut door Maa^n ki aanchal ke chhaon tale aur baap ki pyar bhari nazron ke aas paas phir se bhatakne lagi, ke aaj un ke wajood se hi mera wajood hai.
Bhari chilchilaati dhoop mein maa^n ki mamtaa pukarti raheti thi, aur sunehra bachpan gaao^n ki ghaliyon mein khela karta tha...
Din bhar kaam se thake haare baap ki shafqat- raat ke dilchasp aur kaaraamad mubaahesoo^n mein badal jaya karti thi... Or mujhe aaj bhi yaad hai un ke mu^nh se pyar bhara mera naam "Saimof " sun kar dil machal jata tha... ( He always tries to address me with my name more like Russian name, i don't know why?)
Or School mein hamari kamyaabiyon ki khabar sunte hi najane kitne jugnu un ki aankho^n mein jagmaga jaate the... Or yeh ehsaas hi dil ki khumari ke liye kaafi tha ke hum apne waldain ka maan hain, samman hain or un ka ghroor hain ... or yahi ehsaas hi un ki daant phatkaar ko apne andar aasaani se jazab kar leta tha ...
Aaj woh Sunehra pachpan, mubahse, dilchaspiyaan, ranginiyan, tamashe aur mastiyaan najane kahan kho gaye? Bachpan ke gulistaan ke masoom phoolon se saari rangeen titliyan ud gayi ... Sufaiyed pariyoon waali kahaniyon ki kitaabein kho gayi...
Sach hai, koi beti jab apne maa^n baap ke ghar ki dahleez paar karti hai to kabhi na waapas aane ke liye... kaash! main apne maa^n baap ke saath hamesha rah sakti or bachpan ka bachkaana dimagh aaj bhi mere andar kahin panap raha hota ... kaash ... kaash ...


Sunday, August 28, 2011

Paigham- e- Eid

Rhe kaduraat na koi dil mein,
Na dil mein nafrat ka naqsh ubhre,
Koi bhi jazba, ke jis se rishton ki tazghi ko...
Khizaan ki zardi Udaas karde...
Haseen chehron ki raunaqein maand na pad jaein...
Khyaal rakhna,
Koi bhi shikwa kisi bhi lab per na aane paye...
Ke aaj ka din mohabbaton ke milaap ka ek haseen din hai,
Yeh EID ka din,
Naveed jis ki ghali ghali hai...
jo rishte ruthe hue hain, unko ...
ghale lagalo...
unhein manalo...
yehi to paigham-e-Eid ka hai...
yehi khushi eid ki khushi hai...
ke sab ke honton pe
muskurahat ke phool bikhrein...
Khuloos ke rang aur nikhrein ...
yehi to paighaam-e- EID ka hai...


***EID MUBARAK***

Monday, May 9, 2011

Shayed woh samjha nahi saka ya main samajh nahi payi... Faasle badhte gaye or kisi ne use kam karne ki koshish nahi ki... Us ne ki hogi yaquenan... lekin shayed main, use jaan nahi paayi...

Mujhe ab tak nahi maloom ho saka ke yeh sab kyon hua? or kaise hua?

Lekin,

jab pata chala to is ehsaas ne jaan se maar diya, ke ek ahem rishta khatam ho chuka hai... or saari ummedein bhi dam tod chuki hain... ke ab pachtawe ke siwa kya haasil???

aksar sochti hun... kya woh bhi aise hi sochta hoga... meri tarah... shayed nahi ...

Pahele jaise ab ehsasaat kahan ? ... pahele jaise ab jazbaat kahan ?... sab kuch badal gaya... lekin mere liye to kuch bhi nahi badla... sab kuch pahele ki tarah hai ... bhale hi woh mane ya mane... Woh mere dil me hamesha nek duaaon ki tarah rahe ga... ke woh jahan bhi rahe, sada khush rahe...

Monday, January 10, 2011

Bachche...



Bachche Muflis ke machal jaate hain... sanbhal jaate hain...
Kaise Maasoom hain ... vaadon se bahel jaate hain...




Muflis = ghareeb, poor