Bheeghi palkein,nazakat,shrarat,gaye mausam ki Kuch aadhi adhuri baatein, khyalat, tassawur,fun or zahn-o-dil ka aks ...
Wednesday, April 22, 2009
Tuesday, April 21, 2009
Bebasi...
Tum kya jano sulaghti raaton ke aazab...
Veeran aankon ke sawal...
zard mausamon ke jawab...
taabeer se khali bejaan khwaab...
Tum kya samjhoge...
Saard si baarish ki pyaas...
Adh khile ghulaabon ki dukhan...
Neele falak ki musarraton ka saaz...
Khushboon se nadarid hawaon ke geet...
band hoton ki be awaz cheekhain...
Hardam majrooh hoti anaa...
tamaam raston ki be nishaan si manzil...
Tum kahan dekh paoge...?
DOSTI...
Kaho to do lafz...
Mano to bandaghii...
Socho to gahera saager...
Dubo to zindaghi...
Karo to asaan...
Nibhao to mushkil...
Bikhre to saara zamana...
Simte to sirf goon...
Saturday, April 18, 2009
Bichad kar us se...
Hairat hai ke bichad kar us se... kuch bhi to nahi badla...
Na aasmaan hila apne muqaam se,
Na ghulaabon se khushboo hui juda,
Na sooraj ne damakna choda hai,
Na kaliyon ne mahekna...
Samaandaron mein bhi rawani hai,
Zindaghi wahi puraani hai.
Phoolon mein baaki taazgi hai,
Geeton mein bajta saaz bhi hai.
Mohabbat ki baaki aaj bhi kahani hai,
Duniya chahat ki aaj bhi dewaani hai.
Maut bhi khafa si lagti hai,
Zindagi bhi juda si lagti hai.
Bichad kar main us se jiye ja rahi hun.
Kaam duniya ke musalsal kiye ja rahi hun.
Dhadkan se bandha hai saanson ka bandhan,
Faqat saadgi mein badla hai mera baankpan.
Hairat hai, bichad kar us se kuch bhi to nahi badla...
Friday, April 17, 2009
Mohabbat Duaye neem shab hai...
Mohabbat ke farishte ne aaj phir zameen ka rukh kiya tha.Surmayi ghataon ko rondti, nannhe munne sitaron, nat khat falak zaaron ko chedti us ki sawari ka rukh zameen ki taraf tha... woh pahele bhi zameen per aata raha hai.... pyar phailane...!
Insaan ke jism ka ek nazuk or ziddi hissa us ka dil hai... Mohabbat ka yeh muqaddas farishta is dil ke zariye insaan ke massom vajood mein mohabbat bhar deta hai... Mohabbat jise pa lene ke baad duniya nayi nayi si lagne lagti hai. Phoolon mein naye sire se rang aate hain, Sitaron mein nayi tarah se jagmagahat aati hai, Asmaan mohabbat ki anginat vus-aton se saj jata hai. Han ! yeh mohabbat hi to hai jo insaan ko nayi aankhein deti hai or pichlee beenayi per ek sunehri si patti bandh deti hai, woh patti jis ke doosre taraf kuch dikhayi nahi deta... Rishte-naate, dosti, rawadaari, murawwat, kuch bhi nahi...
Phir aage yeh mohabbat samaaton per dhakkan chada deti hai...kuch sunayi nahi deta...tuhmatein,malamtein, taane, zaher baatein... agar kuch sunayi deta hai to mahboob ki baatein, usi ke anmool lafz...
Mohabbat insaan ke vajood se sab kuch noch kar faqat apna aap bher deti hai, ta umar mahboob ke kho jane ka darr laga rahta hai, kahin woh chala na jaye, kahin woh naraaz na ho jaye, kahin woh kho na jaye...
Mohabbat insaan ko baaki cheezon se be-niyaz nkar deti hai...Mohabbat Insaan ko adhoora kar deti hai...