Zindaghi yun hi be raunaq hai...
so, guzar rahi hai...
Saamne raastein hain'
khaayion ke, pahadon ke...
Tamannayein jalti hain,
Bhuje dil mein...
Saahil ke pur raunaq dareechon per,
Laherein takraati hain samandaron ki...
Saanson mein atakti hain
dard ki shiddatein...
Saheraaon mein jami ret ke zarron ki tarah...
Sard chataanon mein dabi,
khwahishat ki hasratein...
Hamein rone nahi deti...
Hamaari aankhein jalti hain..
Saach ke lazawal lamhon ki pahechaan mein,
Awaaz ke taqqub mein daudte daudte,
hum aabla-pa ho chuke hain...
Phir bhi hum ne sooch rakha hai,
Tum se kuch nahi kahna..........
aabla means? wo veg vendor to nahi?
ReplyDeleteaabla ka matlab hota hai chaale nikalna, Zakhmi hona,or pa ka matlanb paairon ke sole, Puri meaning hui pairon ka zkhmi hona .......
ReplyDeleteIt is not veg vendor.