Friday, April 17, 2009

Mohabbat Duaye neem shab hai...

Mohabbat ke farishte ne aaj phir zameen ka rukh kiya tha.Surmayi ghataon ko rondti, nannhe munne sitaron, nat khat falak zaaron ko chedti us ki sawari ka rukh zameen ki taraf tha... woh pahele bhi zameen per aata raha hai.... pyar phailane...!

Insaan ke jism ka ek nazuk or ziddi hissa us ka dil hai... Mohabbat ka yeh muqaddas farishta is dil ke zariye insaan ke massom vajood mein mohabbat bhar deta hai... Mohabbat jise pa lene ke baad duniya nayi nayi si lagne lagti hai. Phoolon mein naye sire se rang aate hain, Sitaron mein nayi tarah se jagmagahat aati hai, Asmaan mohabbat ki anginat vus-aton se saj jata hai. Han ! yeh mohabbat hi to hai jo insaan ko nayi aankhein deti hai or pichlee beenayi per ek sunehri si patti bandh deti hai, woh patti jis ke doosre taraf kuch dikhayi nahi deta... Rishte-naate, dosti, rawadaari, murawwat, kuch bhi nahi...

Phir aage yeh mohabbat samaaton per dhakkan chada deti hai...kuch sunayi nahi deta...tuhmatein,malamtein, taane, zaher baatein... agar kuch sunayi deta hai to mahboob ki baatein, usi ke anmool lafz...

Mohabbat insaan ke vajood se sab kuch noch kar faqat apna aap bher deti hai, ta umar mahboob ke kho jane ka darr laga rahta hai,  kahin woh chala na jaye, kahin woh naraaz na ho jaye, kahin woh kho na jaye...

Mohabbat insaan ko baaki cheezon se be-niyaz nkar deti hai...Mohabbat Insaan ko adhoora kar deti hai... 

1 comment: