Monday, July 12, 2010

Zindaghi ki tanz bhari Ha^nsi ...

Zindaghi ki ha^nsi ne mujhe ek lamhe ke liye roka...
magar!
gham ka sahera... Bahut door tak...
waqt ki aakhri hadd tak phailta tha...
Kadi dhoop ki bekaraan wusa-aton mein,
tapeeda badan dasht ke faaslon mein,
Nami ke liye, Rahat, hasrat-e- daayemi ke liye...
Aanswoon ki zaroorat thi...
Magar zindaghi ki tanz bhari ha^nsi ne mujhe us lamhe mein rok liya...
Wahi lamha!!!
ke jis mein iraade badalte hain... or...
zindghaani ke raaste badalte hain...
Woh lamha ! ke jab zamaane ke banaye gaye saare naqshe badalte hain...
Aayiendaghaan ke sitaare badalte hain...
Khuda jaane !!! Ab kya hoga???



Meanings:
Sahera = desert
Kadi = intense
bekaran = unlimited
Wusa-at = bada, phailao, Bigger
tapeeda badan = jalta hua jism
dasht = jungle
Nami = humid, wet
dayemi = hamesha ke liye, immortal
Ayeindaghaan = Future, aane wala waqt.

Monday, July 5, 2010

Tanhai...


Zindaghi ki Haqueeqat ne yaad-e-maazi ko jala kar raakh kar diya...
Ab na to khwahishon ka mahel raha na tamannao ke gulistaan...
Bas ab khandaron ki kachchi dewaaron mein kuch puraane khwaab baaste hai...
Jo jeene nahi dete...
or agar jo jeene ki tamnna machal jaye to tursh haqueeqat use maar deti hai ...
Baghon ke sufaid phool kitne khubsoorat or pakeeza the,
Dil ke bahut qareeb the... labon ke tabassum ka sabab the...
tez hawaaon ke tufaan ne unhein raund diya... or inhi tez hawaaon ke jhakkad ne palkon mein ret or mitti ki jalan bher di or nazron ke samne se saare manzer gayeb ho gaye,
Is shor ne meri quwwat-e- sama-at cheen li,
Or chaaron taraf bikharti hui adhoori tanhayion ne poocha...
Yeh sab kya ho raha hai? Kyon ho raha hai?
jawab aaya...
Jo be-iraada safar pe niklein to yeh to hota hi hai...or yeh to hoga hi ...
Rafaaqaton ka gahera sooraj ghroob ke imtehaan mein hai...
ab is baat ko tasleem karna hi hoga ke ...
" Hijr ka mausam to wasl ki paheli shaam se hi safar ka agaaz kar chuka tha...