Zindaghi ki Haqueeqat ne yaad-e-maazi ko jala kar raakh kar diya...
Ab na to khwahishon ka mahel raha na tamannao ke gulistaan...
Bas ab khandaron ki kachchi dewaaron mein kuch puraane khwaab baaste hai...
Jo jeene nahi dete...
or agar jo jeene ki tamnna machal jaye to tursh haqueeqat use maar deti hai ...
Baghon ke sufaid phool kitne khubsoorat or pakeeza the,
Dil ke bahut qareeb the... labon ke tabassum ka sabab the...
tez hawaaon ke tufaan ne unhein raund diya... or inhi tez hawaaon ke jhakkad ne palkon mein ret or mitti ki jalan bher di or nazron ke samne se saare manzer gayeb ho gaye,
Is shor ne meri quwwat-e- sama-at cheen li,
Or chaaron taraf bikharti hui adhoori tanhayion ne poocha...
Yeh sab kya ho raha hai? Kyon ho raha hai?
jawab aaya...
Jo be-iraada safar pe niklein to yeh to hota hi hai...or yeh to hoga hi ...
Rafaaqaton ka gahera sooraj ghroob ke imtehaan mein hai...
ab is baat ko tasleem karna hi hoga ke ...
" Hijr ka mausam to wasl ki paheli shaam se hi safar ka agaaz kar chuka tha...
Very Nice !!!!
ReplyDelete" Hijr ka mausam to wasl ki paheli shaam se hi safar ka agaaz kar chuka tha..." Really great.
ReplyDeleteYou are now turned into a real "poet". Wo dard saaf jhalakta hai......
I liked this one:
"Jo be-iraada safar pe niklein to yeh to hota hi hai...or yeh to hoga hi ..."
kya baat hai..
ReplyDeleteThanx...
ReplyDelete